dunia bhbar kay mahereen falkiyaat kai salon say mosool hoy waly purasrar signals ki haqeeqat jan'ny kay liye koshan thay aur ab autrailvi science danon nay bala akhir is raaz say pardah utha diya hai. in signals ko kuch science danon kay khila ki gehraiun may tehleel hoty black hools say kharij hony wali shayen aur kuch nay neotron sitaron kay adgham ka natejah qrar diya tha. haal hi may kuch mahereen nay khiyal zahir kiya tha kay ye khilai makhloq ki tarf say bhyjy jany waly signals hain.

australia ki "Parkes Observatory" nami khilai rasadgah may bhi tehkeek jari thi. aur ab yeh wazeh ho gaya hai kay yeh signals khilai  makhloq ki tarf say nhi balky rasad gah kay bawarchi khany may pary micro view own say mosool ho rhy thy. science dan amli patrof aur in ki team nay arxiv par shaye hony waly muqaly may inkishaf kiya hai. kay jab bhi micro view own ka darwaza isy band karny say pehly khola jata tha to is may sy kharij hony wali shoaein radaar ko mutasr karti thin. aur sciencdan isy khala say mosool hony waly Perytons signal samjh lyty thy.

rasadgah kay bawarchi khany may pary micro view own ka darwaza bar bar khol kar signals ki haqeqat ki tasdwwk kar li gai hai. australvi science danon nay degar mahereen ko bhi khabar daar kar liya diya ha. kay micro view kay signals ko khilai makhloq kay signals samjhny ki galti na kary.

Post a Comment

Blog Archive

 
Top