mobile phone companiun kay romang charges say paryshan saarfeen ko GOOGLE nay bari khoshkhabri sona de. kiunkay GOOGLE apny aalmi network kay zariye dunia bhar may bagair kisi izafi kharchy kay calls, massages  aur data services ki khidmaat frahm kary ga. GOOGLE ki tarf sai is kay apny mobile network ka illan 2 mah qabl kiya ja choka hai. three network kay maalik company "Hutchison Whampoa"  say muzakraat kar rhi hai taaky saarfeen ko dunia bhar may bagair romang charges kay mobile phone services frahm ki ja saky. GOOGLE dunia bhar may mobile phone companiun sai 3G aur 4G networks ki rasai holl sale qeemat may khareedy ga. aur phr saarfeen is rasai ko apni calls, massages aur data services kay liye istamal kar sakyn gay. GOOGLE ka kehna hai kay yeh service mobile phone sarfeen kay ikhrajat may numaya kami ka bais bany ga.

Post a Comment

Blog Archive

 
Top