sim tasdeeq meham may mobile operaters ko 80 crore rupy ka nuqsan.....!!!
KARACHI mobile phone simon ki bio metric verification ki mehm PAKISTAN may kaam karny wali tele kaam operaters kay renew aur munafy may kami ka sabab bany gi. taahm qomi salamti kay liye mobile phone companiun ki janib say is mahm kay dora apni samaji zimadari ki adaigi kay jazbe ko telecom regewlaters samait mutalqa wizarton nay qable tehseen qrar dia hai.
telecom industry ka mahreen may mutabiq january say shoro hony wali is mahm kay doran april tak retial channels say nai simon ki frokht band rehny say operators ko renew ki mad may taqreebn 80 crore rupy ka nuqsan uthana para. mali saal 14-2013 kay doran nai simon ki osat mahana frokht 10 lakh sim rahi, is lehaz say 4 mah kay doran operators ko simon ki frokht may 40 lakh kami ka samna karna para, mali saal 14-2013may mobile phone companiun kay osat mahana renew 200 rpy fee sarif kay lihaz say companiun ko sirf renew ki mad may 80 crore rupy ka nuqsan uthana para, mobile phone operators nay bio metric tasdeek kay liye mulk bhar may 80 hazar say bhi zaid devices nasb kin. jin ki osat qeemat 350 say 400 $ btai jati hay.
companiun nay simon ki tasdeek kay liye. retial channel kay sath gair rewayati tareeky bhi ikhtyar kiye. industry zaraye kay mutabiq devices ki tanseeb par companiun nay 6 crore dollar kharch kiye, jo is doran hony waly renew kay nuqsanat kay ilawa hain.
amly ki tarbiat, dor daraz illaqon may mobile teamain bhaij kar simon ki tasdeeq par izafi akhrajat ka samna karna para. industry ka kehna hai kay is nuqsan par qabo pany kay liye taveel arsa darkaar hai. mahireen kay mutabiq mehm kay ikhtatam par khatir khowan kay nataij milny kay bad PTA aur mutalqah wezarton nay moham kay doran telecom operators kay qirdar ko serahty howy mulki mafad may industry ki kawishon ko kharaj tehseen paish kiya hai.
tasdeeq ki jany wali tamam simon ki data base kay zariye kisi bhi sarif aur is kay zair istamal sim aur mobile phone kay mukamal kawaif aur location chand minton may maloom ki ja sakti hai. jis kay bad matloba fard aur sarif ko qanon kay shikanje may laya ja sakta hai.
Post a Comment