AUSTRALIA may aik musalman jory ko nafrat aur tassob ka nishana bnany wali adhyr umar khaton ko is ki apni hi ham watan nojawan khatoon nay sabaq sekha dia. 33 sala hafeez bhatti aur in ki ehlia 26 sala khaldah rail gari may sawar ho kar sudni airport ja rhy thy. kay rasty may aik adhyr umar khaton nay in kay sath badtameezi shoro kar de. khatoon nay musalman jory kay huliye kay bary may nafrat ameez batain kin. aur inhy daish kay karkon qrar dia.

jab is nay musalman khaton say pocha kay is nay skaaf kiun urh rakha hai to isy jawab dia gay kay yeh mazhab aur rewayat ka hissa hai. jis par australvi khatoon mazeed seekhpa ho gain. aur kehny lagin kay skaaf aur darhi waly log australvi logon kay sar qalam kar kay australia par qabza karna chahty hain.

isi doraan 23 sala australvi larki stasi aidan musalman jory ki madat ko agy barhi aur zehar alod guftagu karny wali adhairh umar khaton ko fazool bakwaas band karny ko kaha. inho nay bad mazaj khatoon ko samjhaya kay musalman jory ka libaas aur riwayaat in ka zati muamla hai. aur in ki izzat ki jani chahiye.

jab shuddat pasan khatoon nay is kay bawajood apni sharmnaak karwai jari rakhi to stysi nai isy sakht lehjy may kaha kay agar is kay paas kehny ko koi achi baat nahi hai to apna mon band rakhy.

is tamam waqiye ki video manzar e aam par any kay bad ye muamlah maghrabi media ki tawajo ka markaz ban gay. zahar fishani karny wali khatoon ko bary paimany par tanqeed ka nishana bnaya ja rha hai. musalman jory ki himayat karny wali stasi aidan ka kehna hay kay is jhagry ki wajah say in ka stop nikal gaya. lykin wo mehaz is liye train may mojood rhy kay is bat ko yaqeeni bna sakain. kay musalman jora khairiat say rahy.  hafeez bhatti aur in ki ahlia nay stasi ka shukria ada kiya hai. jabkay in ki muqami masjid ki intzamia ki tarf say stasi ko gold coast ki sair kay liye muft ticket aur degar tamam akhrajat ki paishkash batoor shukria ki gai hai.


Post a Comment

Blog Archive

 
Top