kehty hain jisy ALLAH rakhy usy kon chakhy is kahawat ka amli saboot turki may dykhny ko mila. jahan aik shakhs ki dill ki dharkan ruk gai. jisy harkat mayt lany ki sirtor koshishon may nakami kay bad doctron nay isy baraf kay tap may daal dia. jis say is ka dill dobarah dharak utha.

gair mulki akhbaar kay mutabiq turki kay rehaishi 40 salah baigth so nameez nami shaks ko janlawah dill ka dorah parhny par hospital muntaqil kiya gaya. jahan doctron nay mareez kay dill ki dharkan ko bahal karny ki sirtor koshishain kin taham inhy nakami ka samna karna para.

doctron ki janib say tamam koshishon may nakami kay bad mareez ki dharkanain bahaal karny. anokha tareeka illaj "haipotharmia" ikhtyar kiya gaya. jis kay tehat isy baraf kay tap may daal dia gaya. jis kay bad docter blaint nami is mareez kay jisam ka darjah harart 30 centy grate par lany may kamiyab ho gay.

doctron kay is anokha tareeka ilaj haipotharmia ka tareeka kaar gar sabit howa.aur blant kay dill nay dobarah dharakna shoro kar diya. jis kay bad docters is kay jism ko normal darjah hararat par lay ay. aur 24 ghanty intehai nigehdaasht may guzarny kay bad mareez dobarah zindagi ki janib lot aya.

Post a Comment

Blog Archive

 
Top